Niyati ya Karma
Niyati Ya Karma: Kya Sab Kuch Pehle Se Tay Hai Ya Mehnat Se Badla Ja Sakta Hai?
Aapne aksar logon ko yeh kehte hue suna hoga ki "Is duniya mein har kuch pehle se tay hai, ise na badla ja sakta hai aur na hi kuch add kiya ja sakta hai."
Lekin dusri taraf aapne yeh bhi suna hoga ki "Mehnat se sab kuch badla ja sakta hai aur mehnat karne se har kaam aasan ho jata hai."
Ab thoda ruk kar sochiye—yeh donon baatein ek-dusre se bilkul alag lagti hain, lekin iske piche bhi ek Deep Psychology kaam karti hai.
"Sab Kuch Tay Hai"—Is Soch Ki Psychology
Jab hum sunte hain ki sab kuch pehle se tay hai aur ise badla nahi ja sakta, toh hum ise bas maan lete hain, thaante nahi hain ki kuch karna hai.
Aise samay par hum maan lete hain ki:
- Yeh niyati (destiny) hai.
- Yeh Parmatma ka banaya hua niyam hai.
Aur hum sawal karna band kar dete hain. Lekin thoda ruk kar sochiye ki aakhir pehle se kya tay hai?
- Mrityu (Death)?
- Karm ya Dharm?
- Samman ya Apman?
Mehnat Aur Karm Ki Shakti
Agar hum ek step upar jaakar sochein, toh hum payenge ki mehnat karne se, acche karm karne se, acche vyavhar aur acchi soch rakhne se hum apni zindagi aur soch ko badal dete hain.
Tab yeh law wahan kaam karta hi nahi ki "pehle se sab kuch tay hai."
- Kuch logon ne kaha hai ki unhone mehnat se haathon ki rekha badal di.
- Kuch logon ne kaha hai ki woh Zero se Hero bane hain.
Aakhir sabse bada kya hai—Mehnat ya Niyati? Sabse bade hain acche karm. Acche karm mehnat karne se hote hain, logon se milne se, apne se zyada jankari wale logon ko janne aur samajhne se hote hain.
Koi Insaan Bura Nahi Hota: Samaj Ki Psychology
Duniya mein koi bhi insaan birth se bura nahi hota. Insaan bas us waqt bura banta hai jis waqt uske sath kuch galat hota hai.
Galat hone ke baad bhi us insaan ko pachtava hota hai aur woh achha banna chahta hai.
Lekin dukh ki baat yeh hai ki use samjhane wala ya samajhne wala koi nahi hota, par uspar sawal uthane wale hazar hote hain. Isiliye woh bura sabit ho jata hai.
Reverse Psychology Ka Khel:
Maan lijiye koi insaan hai jisme hazar buraiyan hain, lekin har koi usse kehta hai ki "Tum acche ho, tum bohot acche ho." Toh kya woh bura rahega? Nahi! Yeh kabhi siddh hi nahi ho payega ki usne bura kiya. Aur us insaan ko bhi lagega ki "Main bura karta hoon par log mujhe achha kehte hain, toh mujhe achha hi banna chahiye."
Isi psychology ko samajhna aur zindagi mein utarna sabse badi samajhdar
i hai.
Comments
Post a Comment