Insan Ki Sabse Badi Jeet: Khud Par Control Aur Gusse Ka Psychology Sach hai
Insan Ki Sabse Badi Jeet: Khud Par Control
Insan Ki Sabse Badi Jeet Kya Hai?
Insan ki sabse badi jeet tab nahin hoti, jab vah kuchh jeet leta hai, chahe school ya college mein ho ya kisi khel mein.
Insan ki asli jeet tab hoti hai, jab insan apne aap ko jeetta hai aur khud ko pehchan leta hai.
Insan ka mind hamesha logon mein uljha rehta hai. Bas ek bhram paida karta hai. Apne andar ek vishal mahatvakanksha lekar vah ghoomta rehta hai.
Insan ki soch mein itni power hoti hai ki vah bahut kuchh kar sakta hai. Yah soch aati kahan se hai? Yah soch aati hai insan ki apni aadaton se, uske dreams se, uske sapnon se. Insan jo banna chahta hai, bas usi tarah se vah react karta hai.
Har insan perfect dikhna chahta hai, chahe vah kitni bhi galtiyan kar le.
Khud ki galti manne wale bahut kam log hote hain is dharti par. Jo khud ko galat maan kar apne aap ko sahi karte hain aur khud ko behtar sabit karte hain, unmein ek tarah ki positivity aa jaati hai. Unki soch doosron se seekhkar aur behtar hoti jaati hai.
Negative Soch Bhi Hamen Life Lesson Sikhati Hai
Agar humare mind mein negative thoughts na aayein, to kya hamesha positive rehne se hi hamara fayda hai? Nahin, kuchh negative baatein bhi hamen life lessons sikhati hain.
Jo log negative logon ke daayre mein aate hain, unki life mein bhi kuchh positive badlav aa sakte hain, agar ve apne experiences se seekhna chahein.
Insan Ki Andar Ki Shakti Aur Meditation
Is universe mein insan ki capabilities bahut powerful hain. Insan ki body aur uske andar maujood mental abilities use bahut kuchh karne mein madad karti hain.
Meditation, abhyas aur yoga ki madad se hum apne aap ko badal sakte hain. Hum itna badal sakte hain ki samay ke saath apne purane vyaktitva se bilkul alag nazar aane lagte hain.
Hamesha positive bolna hi possible nahin hota. Har insan ki apni ek soch hoti hai. Jo insan apne aap ko pehchanta hai aur achhe vicharon ko lekar chalta hai, uski soch ek nuclear bomb jaisi powerful hoti hai.
Gussa Aane Ka Pattern: Kya Hum Sach Mein Gusse Ko Control Karte Hain?
Maan lo, kisi insan ko kaafi gussa aata hai. Main ek baat bolun, gussa sirf ek feeling nahin hoti, balki kai baar yah hamare reaction dene ke pattern se bhi judi hoti hai.
Maan lo, koi insan ek office mein kaam karta hai. Office mein jab vah rehta hai, to uska boss use bahut daantta hai aur bahut kuchh sunata hai. Vah insan boss ko kuchh bhi nahin bolta, bas sunta rehta hai.
Boss ne aisi-aasi baatein boli, jin par vah react kar sakta tha, fir bhi vah chupchaap sunta raha.
Jab vah insan apne doston ke paas gaya, apne ghar aur family mein gaya, aur gharwalon ne ek bhi baat galat bol di, to usne turant react kiya. Usne samay bhi nahin liya aur apne gharwalon ko poori tarah suna diya, jabki ve log chupchaap sunte rahe.
Yahan se ek baat nikal kar aati hai: jis par hamara adhikar hota hai, jis par hum control kar sakte hain aur jiske saamne hum apne aap ko bada ya powerful bana sakte hain, kai baar hum usi par gussa karte hain.
Kyunki boss ke saamne uski nahin chalti, to vah kuchh nahin bolta. Family ke saamne uski achhi-khaasi chalti hai, to vah bolta hai.
Control Ka Khel
Control hamesha insan ko apni life mein aage le jaane ka kaam karta hai.
Jo powerful log hote hain, ve hamesha background mein kaam karte hain, na ki sirf saamne aakar.
Kuchh logon ka business bhi saamne nahin dikhta. Ve background mein rehkar apna kaam poora karte hain. Jo kaam saamne aakar kiya jaata hai, usse kai guna zyada kaam background mein karke ve aage nikal jaate hain.
Aise logon ko apni power ko apne paas aur control mein rakhna pasand hota hai. Apne andar hi apne aap ko ek discipline aur arrangement mein rakhna pasand hota hai.
Koi bhi insan jab kisi doosre insan ko control karta hai, to uske mind mein ek tarah ki mental process hoti hai.
Comments
Post a Comment