Kashi Aur Manikarnika Ghat Ka Rahasya: Jahan Maut Ke Bad Milti Hai Mukti
Kashi Aur Manikarnika Ghat Ka Rahasya: Jahan Maut Ke Bad Milti Hai Mukti
Kashi ki kahani bhi apne aap mein ek alag hi urja deti hai. Kashi sirf ek shahar nahi hai, balki ek aisi nagari hai jise Swarg kaha gaya hai. Yahan insaan aur Bhagwan, aatma aur parmatma dono ek sath hi rehte hain.
Aam taur par insaan apne karmon ke hisab se bandha rehta hai, par Kashi mein aate hi yeh saare karm mukt ho jaate hain. Kashi nagari ki har ek kahani log ke man mein ek naya vichar jagati hai.
Manikarnika Ghat Kaise Bana? Ek Pauranik Katha
Jab Bhagwan Shiv aur Mata Parvati pure brahmand ki parikrama kar rahe the, tab Dharti ka sabse sundar aur chamakta hua shahar Kashi hi dikh raha tha. Mata Parvati ko Kashi itni bha gayi ki unhone Mahadev ke sath yahin nivas karne ki ichha jataii.
Ek din jab Mahadev aur Mata Parvati Kashi mein Ganga snan kar rahe the, tabhi Mata Parvati ka kaan ka Kanika Mani (Gahana) gir gaya, aur wahi doosri taraf Bhagwan Shiv ke mathe ka mani bhi yahin gir pada.
Tabhi se is jagah ka naam Manikarnika Ghat pad gaya.
Us samay krodh mein aakar Bhagwan Shiv ne is jagah ko shraap de diya tha ki "Jis tarah main krodh mein yahan jala hoon, yahin ki bhumi bhi usi krodh mein hamesha jalti rahegi."
Tabhi se lekar aaj tak, yahan roz hazaron dead bodies jalti rehti hain aur yahan ki agni kabhi bhi khatm nahi hoti.
Mani Aur Kundal Ki Talash
Pauranik kathaon ke anusaar, Swarg lok se devgan us mani aur kundal ko dhundhne ke liye Ganga mein utre the, par kisi ko woh mani nahi mili. Ant mein Bhagwan Vishnu ne kachhua ka roop dharan karke Ganga ke sabse nichle bhag mein jakar dekha, kyunki mani ka tap itna adhik tha ki woh aur niche ja chuki thi. Antतः mani aur kundal ko dhoondh kar laya gaya.
Tab Mahadev ne kaha ki diya hua shraap toh wapas nahi liya ja sakta, par unhone ek maha-vardan diya:
"Jo bhi dead body is Ganga mein snan karke yahan jalayegi, woh seedha Swarg lok aur Shivlok jayegi."
Moksh Nagari Kashi: Jahan Yamraj Nahi, Bhagwan Shiv Aate Hain
Yeh mana jata hai ki jo bhi dead body is pavitra jagah par jalti hai, swayam Bhagwan Shiv uske kaan mein Tarak Mantra bolte hain aur use apne sath lekar jaate hain.
Yahan marne wale aur yahan janm lene wale 84 lakh yoni se mukt ho jaate hain.
Unhe Yamraj ke paas nahi jana padta, balki woh seedha Shivlok mein jaate hain aur moksh prapt karte hain.
Manikarnika Ghat par 24 ghante dead bodies jalti rehti hain aur yahan ki chita agni ka kram kabhi nahi rukta.
Comments
Post a Comment