Geeta ka asli saar psychology

Dark Psychology Aur Positive Mindset: Geeta Ka Asli Saar

Is duniya mein jo bhi kuch hota hai, uske piche ek Deep Dark Psychology hoti hai. Asli samajhdari is psychology ko samajhne, use pehchanne aur uske hisab se apne dimaag mein ek sahi mindset banane mein hai.
Lekin ek baat hamesha yaad rakhein—yeh mindset hamesha Positive hona chahiye. Agar yeh negative hua, toh yeh aapka hi vinash kar dega aur aapke liye hi khatra paida kar dega. Isliye hamesha positive mindset se dark psychology ko samjhein, jismein aapka bhi fayda ho aur aapke fayde se dusron ka bhi fayda ho. Tabhi aap ek achhe insaan hone ka kartavya (daitva) nibha payenge.
"Achha Insaan" Banne Ka Asli Matlab Kya Hai?
Achha insaan hone ka matlab yeh bilkul nahi hai ki aap har jagah, har kisi ki madad karte rahein, ya apni zaroorat se zyada logon par apna pyar ya nafrat dikhane lagein.
Achhe insaan ka asli matlab hota hai:
 dark psychology ko samajhna aana chahiye. Aapko yeh pata hona chahiye ki har jagah ek hidden politics chalti hai, aur us politics se ladne ka tareeqa aapke paas hona chahiye.
Khud Se Khud Ki Ladai
Yahan baat physical ladai ki nahi, balki mentally ladai ki ho rahi hai. Insaan tab tak nahi harta, jab tak woh khud se nahi haar jata.
Insaan ki soch (thinking) hi uski sabse badi takat aur sabse bada astar hai.
Insaan apni soch ke dum par hi raj karta hai.
Isliye insaan ko hamesha yeh sochana chahiye ki woh apne aap ko kaise badle aur behtar kaise bane. Aur sabse zaroori baat—aapke badalne aur aage badhne ki wajah se kisi dusre ko taklif nahi honi chahiye.
Isi baat ko Bhagavad Gita mein Shri Krishna ne Arjun se kaha tha.

Comments

Popular posts from this blog

About us

Insan Ki Sabse Badi Jeet: Khud Par Control Aur Gusse Ka Psychology Sach hai

Privacy Policy